likhi hui jo tabahi hai us se kya jata hawa ke rukh pe magar kuchh to nakhuda jata jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata kashid-e-mai pe hai kaisa fasad hakim-e-shahr teri girah se hai kya banda-e-khuda jata khuda ka shukr hai tu ne bhi man li meri baat rafu purane dukhon par nahin kiya jata misal-e-barq jo khwab-e-junun mein chamki thi us aagahi ke taaqub mein hun chala jata libas-e-taza ke khwahan hue hain zarra o sang ek aaina hai koi dur se dikha jata ajab tamasha-e-sahra hai chaak-e-mahmil par ghubar-e-qais hai parda koi gira jata jo aag bujh na sakegi usi ke daman mein har ek shahr hai ijad ka basa jata