kya hui meri jawani josh par aai hui

kya hui meri jawani josh par aai hui
hae wo nazuk gulabi meri chhalkai hui

jalwa-gah mein aaj ye kis ki tamashai hui
tur se hum le ke aae aankh pathrai hui

hashr mein fitnon se achchhi bazm-arai hui
aa ke duniya khud tamasha khud-tamashai hui

ye bhi shamat thi mere aamal ki lai hui
sab se pahle hashr ke din meri ruswai hui

main chala dozakh ko lekin us ki rahmat dekh le
aankh meri su-e-kausar aaj lalchai hui

us ki thokar ke nishan sab ban gae dagh-e-sujud
ye jabin hai kis but-e-kafir ki thukrai hui

hashr mein qatil ne dekhi hai lahu ki koi chhint
su-e-daman kyun jhuki hai aankh sharmai hui

tazgi si aa gai un ka tabassum dekh kar
khil uthin kaliyan mere madfan ki murjhai hui

rah gai yaad-e-jawani wo jawani ab kahan
dagh-e-daman hai mite sar-josh chhalkai hui

dekhte wo bhi to aa jate zarur aankhon mein ashk
dil se rukhsat is tarah dil ki shakebai hui

ai qayamat aa bhi tera ho raha hai intizar
un ke dar par lash ek rakhi hai kafnai hui

nim-uryan kuchh numaish husn ki thi wasl mein
chhedne ko raat hila un ki angdai hui

khak phanki masjidon mein ja rahe jab hum kabhi
mai-kadon mein aa rahe to baada-paimai hui

har lahad se saf milta hai qayamat ka jawab
khak dar-dar chhanti hai un ki thukrai hui

manzilon pichhe hain rah-e-ishq mein farhad-o-qais
ye hansen us ko ab aisi meri ruswai hui

raat-din angdaiyan wo len meri aaghosh mein
jin hasinon ke liye paida ye angdai hui

wo bhi ghabrae hue thi baat bhi thi sharm ki
rah gai honthon mein dab kar honth tak aai hui

nam hai mai-e-bu nahin talkhi nahin tezi nahin
muddaton zahid ne pi hai meri khinchwai hui

hai numayan aaj sab mina-paraston mein 'riyaz'
jam-e-jam se badh ke qadr-e-jam-e-minai hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close