ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain hawa-e-gham ke liye khidkiyan banate hain unhen bhi dekh kabhi ai nigar-e-sham-e-bahaar jo ek rang se taswir-e-jaan banate hain nigah-e-naz kuchh un ki bhi hai khabar tujh ko jo dhup mein hain magar badliyan banate hain hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut to gul tarashte hain titliyan banate hain kisi tarah nahin jati fasurdagi dil ki to zard rang ka ek aasman banate hain dil-e-sitam-zada kya hai lahu ki bund to hai is ek bund ko hum be-karan banate hain bala ki dhup thi din bhar to sae bunte the andheri raat hai chingariyan banate hain hunar ki baat jo puchho to mukhtasar ye hai kashid karte hain aag aur dhuan banate hain