kya ishq ka len nam hawas aam nahin hai andhon ko andhere mein koi kaam nahin hai tha jam to is aas pe baithe the ki mai aae mai aai to rindon ke liye jam nahin hai jite ho to jine ka ewaz zist se mango maut apna muqaddar hai ye inam nahin hai kat jaegi ye raat guzaro kisi karwat ab subh se pahle to koi sham nahin hai jite the ki sar-e-dosh pe tha bar-e-garan tha marte hain ki sar par koi ilzam nahin hai yan raushani-e-subh to wan nikhat-e-gul hai yun husn-e-gurezan ka koi nam nahin hai khud waqt ko milta hai sukun teri gali mein sunte hain wahan gardish-e-ayyam nahin hai saya hun magar mehr-e-darakhshan se hai nisbat zulmat hun par andhon se mujhe kaam nahin hai 'baqar' se nahin izzat-e-sadat pe kuchh harf aashiq to bana phirta hai badnam nahin hai