hum hain manzar siyah aasmanon ka hai ek itab aate jate zamanon ka hai ek zahrab-e-gham sina sina safar ek kirdar sab dastanon ka hai kis musalsal ufuq ke muqabil hain hum kya ajab silsila imtihanon ka hai phir wahi hai hamein mittiyon ki talash hum hain udta safar ab dhalanon ka hai kaun se marke hum ne sar kar liye ye nasha sa hamein kin takanon ka hai ye alag baat wo kuchh batae nahin lekin us ko pata sab khazanon ka hai sab chale dur ke paniyon ki taraf kya nazara khule baadbanon ka hai us ki nazron mein sare maqamat hain par use shauq andhi udanon ka hai aao 'bani' ki khwaja ke dar ko chalen aastana hazar aastanon ka hai