kya isi taur hi ye sara safar jaana hai kya kahin rukna nahin yun hi guzar jaana hai main tere ruh ka aashiq hun magar jaanta hun tera ye shokh badan bhi mere sar jaana hai dasht ki khak hun main mera kahan khud ka safar tai karegi ye hawa mujh ko kidhar jaana hai shart ye thi ki na bichhadenge kabhi jite ji ye nahin thi ki bichhad jaen to mar jaana hai ab rah-e-ishq mein hum kho bhi agar jaen to kya kis ko is dasht se phir laut ke ghar jaana hai wo tumhein yaad karaega purani baaten ai dil-e-sada tumhein saf mukar jaana hai ye mera pahla safar tha so bhatakna hi pada kaun ye mujh ko batata ke kidhar jaana hai bas kisi tarah tumhein par kara den ek bar phir safinon ko samundar mein utar jaana hai