mausam-e-gul hai na daur-e-jam-o-sahba rah gaya le gai sab ko jawani main akela rah gaya jaane kya ho kar nigahon se ishaara rah gaya hae khun-e-arzu jab hal ke parda rah gaya ishq ki ruswaiyan wo husn ki bad-namiyan hum bhula baithe magar duniya mein charcha rah gaya ek sarapa naz-e-tanhai mazar-e-ashiqan hae wo aalam ki jab khud husn tanha rah gaya roab-e-husn aadab-e-ishq un ki haya ka ehtiram uth gai chilman to ab parda hi parda rah gaya kuchh badhana tha mazaq-e-bandagi ka hausla pher li tu ne nazar sharma ke sajda rah gaya in ke jalwon ne hazaron ko nawaza ai 'shafiq' aah apni be zaban nazron ko shikwa rah gaya