kya jaane wo achchha ki bura karte rahe hain jo mere liye roz dua karte rahe hain bakhshi hai jihaalat ne unhen rahnumai jo log yahan jurm-o-khata karte rahe hain honton pe mere rahti hai tarif bas un ki wo hain ki sada shikwa gila karte rahe hain ek roz sila is ka milega unhen yaro izzat jo buzurgon ki sada karte rahe hain suraj ko ye andaza 'saba' ho nahin sakta hum shama ke manind ziya karte rahe hain