kya jaanen teri ummat kis haal ko pahunchegi badhti chali jati hai tadad imamon ki har gosha-e-maghrib mein har khitta-e-mashriq mein tashrih digar-gun hai ab tere payamon ki wo log jinhen kal tak dawa tha rifaqat ka tazlil pe utre hain apnon hi ke namon ki bigde hue tewar hain nau-umr siyasat ke biphri hui sansen hain nau-mashq nizamon ki tabqon se nikal kar hum firqon mein na bat jaen ban kar na bigad jae taqdir ghulamon ki