hai shakl teri gulab jaisi nazar hai teri sharab jaisi hawa sahar ki hai in dinon mein badalte mausam ke khwab jaisi sada hai ek duriyon mein ojhal meri sada ke jawab jaisi wo din tha dozakh ki aag jaisa wo raat gahre azab jaisi ye shahr lagta hai dasht jaisa chamak hai us ki sarab jaisi 'munir' teri ghazal ajab hai kisi safar ki kitab jaisi