kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage

kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage
bas khak hai is teri meri khak se aage

hai shor-e-fughan khamushi-e-marg ke pichhe
ek tez hawa hai khas-o-khashak se aage

hum dekhte hain aankh mein sahme hue aansu
ek chup hai kahin khanda-e-be-bak se aage

ek rang sa hai rang-e-tamanna se mumasil
ek abr sa hai dida-e-nam-nak se aage

main apne kisi khwab ki munh-zor hawa mein
aksar hi nikal jata hun aflak se aage

kya shor karen girya-e-usshaq se badh kar
kya zor karen pairhan-e-chaak se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close