kya jaaniye kya ishq ka mear kahe hai sajde ko bhi tauhin-e-dar-e-yar kahe hai kya baat ye ai aql ke bimar kahe hai gham aise hasin phul ko tu khar kahe jis baat ko kahte hue darta hai zamana wo mere siwa kaun sar-e-dar kahe hai ai josh-e-junun tu hi qadam apne badha de ye aql to har rah ko dushwar kahe hai wo zist jise dil ki jarahat ka hai ehsas har sans ko chalti hui talwar kahe hai bekar sahi aankh se tapka hua aansu anmol ise mera kharidar kahe hai kaun aisa hai waiz jo gunahon se bacha ho kyon baada-paraston ko gunahgar kahe hai is bazm mein jo bhi nazar aata hai wo be-khud ye hosh kahan kya nigah-e-yar kahe hai fursat ho to gham-khane mein aakar kabhi sun lo 'shair' ka fasana dar-o-diwar kahe hai