jab tak dil-e-khwabida bedar nahin hota mai-khwar haqiqat mein mai-khwar nahin hota jo chiz hai duniya ki ek khas atiyya hai qatra ho ki zarra ho bekar nahin hota dekha hai jinhen waqf-e-adab-e-gham-e-jaanan un se gham-e-jaanan ka izhaar nahin hota hamdardi-e-alam par kya naz kare koi jab dil hi mohabbat mein gham-khwar nahin hota tum sher to kahte ho ye ilm bhi hai tum ko dil se na agar nikle talwar nahin hota inkar ka matlab hi iqrar-e-mohabbat hai 'shair' lab-e-jaanan par iqrar nahin hota