kya jiyega koi hum khak-nashinon ki tarah ek ek pal yahan guzra hai mahinon ki tarah us ne chadh kar mere kandhon pe falak chum liya main zamin par hi khada rah gaya zinon ki tarah daur-e-hazir mein mohabbat ka koi mol nahin dil bhi hone lage nilam zaminon ki tarah khud nahin chalta koi aur chalata hai use ab to insan bhi tulta hai mashinon ki tarah jab se aaya hai fasadat ke mausam mein ubaal hum bhi maujon mein ghire tute safinon ki tarah main ne duniya ki nigahon se bacha kar ai 'kalim' dil mein rakkha teri yaadon ko dafinon ki tarah