jise main ne subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho mere sar ki aap ne khai jo kahin ye bhi jhuti qasam na ho wo jo muskurae hain be-sabab ye karam bhi un ka sitam na ho main ne pyar jis ko samajh liya kahin ye bhi mera bharam na ho tu jo hasb-e-wada na aa saka to bahana aisa naya bana ki tera waqar bhi kam na ho mera eatibar bhi kam na ho jise dekh kar main thithak gai use aur ghaur se dekh lun ye chamak raha hai jo aaina kahin tera naqsh-e-qadam na ho mere munh se nikla ye barmala tujhe shad kaamran rakhe khuda tu payam laya hai yar ka teri umr khizr se kam na ho