kya kaam unhen pursish-e-arbab-e-wafa se marta hai to mar jae koi un ki bala se mujh se bhi khafa ho meri aahon se bhi barham tum bhi ho ajab chiz ki ladte ho hawa se daman ko bachata hai wo kafir ki mabaada chhu jae kahin paki-e-khun-e-shohda se diwana kiya saqi-e-mahfil ne sabhi ko koi na bacha us nazar-e-hosh-ruba se ek ye bhi haqiqat mein hai shan-e-karam un ki zahir mein wo rahte hain jo har waqt khafa se aagah-e-gham-e-ishq nahin wo shah-e-khuban aur ye bhi jo ho jae faqiron ki dua se qail hue rindan-e-kharabaat ke 'hasrat' jab kuchh na mila hum ko giroh-e-urfa se