kya tum ko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata aata hai par is tarah ki goya nahin aata ho jati thi taskin so ab fart-e-alam se is baat ko rote hain ki rona nahin aata tum ho ki tumhein wada-wafai ki nahin khu main hun ki mujhe tum se taqaza nahin aata hai pas ye kis ki nigah-e-mahw-e-haya ka lab tak jo mere harf-e-tamanna nahin aata un ki nigah-e-mast ke jalwe hain nazar mein bhule se bhi zikr-e-mai-o-mina nahin aata shokhi se wo mana-e-sitam puchh rahe hain ab lafz-e-jafa bhi unhen goya nahin aata main dard ki lazzat se raza-mand hun 'hasrat' mujh ko sitam-e-yar ka shikwa nahin aata