kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas mauj jab bal kha ke utthi ban gaya dariya qafas zindagi gham ka badal hai aarzuen yas ka aasman sayyaad hum qaidi hain aur duniya qafas dil ke haq mein sina zindan aarzu ke haq mein dil saikdon dekhe hain lekin ye naya dekha qafas din asiri ke ba-har-surat guzare jaenge ek qaidi ke liye hai kya bura achchha qafas koi bhi diwar sadd-e-rah ho sakti nahin tol baithe par to phir sayyaad kya kaisa qafas apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas ai 'falak' aai yahan bhi mujh ko yaad-e-ashiyan barq tu gardun pe chamki jagmaga uttha qafas