meri hasti mein meri zist mein shamil hona

meri hasti mein meri zist mein shamil hona
tujh ko ai husn mubarak ho mera dil hona

khushk ho jaen jo aankhen to gham-e-furqat kya
chahiye aur bhi tar dida-e-bismil hona

us pe mushkil koi pad jae to aasan ho jae
hausla bakhshe jise kaam ka mushkil hona

la mera jam utha apni surahi saqi
aaj hai gardish-e-dauran ke muqabil hona

ab kahe jao fasane meri gharqabi ke
mauj-e-tufan ko mere haq mein tha sahil hona

qais laila ki nazar se hi bana tha majnun
us ka achchha hai pas-parda-e-mahmil hona

mast ulfat hon mera nam hai diwana-e-husn
kaam hai hosh mein aana kabhi ghafil hona

kitni ummid se badhte hain musafir ke qadam
qudrati hai gham-e-nakaami-e-manzil hona

aaj ke daur mein kam baat nahin hai ye 'falak'
ek fan mein kisi insan ka kaamil hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close