kya kahen tujh se hum wafa kya hai soch kuchh dil mein puchhta kya hai dil hai ye ya ki aabla kya hai kyun hai itna bhara hua kya hai kaise kaise jawan kiye barbaad ishq kya shai hai ye bala kya hai dil ko dena tha de diya zalim aur hum ne tera liya kya hai gar raqabat tumhein nahin mujh se phir ye aaina dekhna kya hai pahle rakh le tu apne dil par hath phir mere khat ko padh likha kya hai ab wo aankhen nahin hain pahli si sach kaho tum ko ho gaya kya hai shauq-e-ashiq-kushi bhala hi sahi rahm karna bhi par bura kya hai kya kahen hum bura ki khu hi nahin par kaho tum hi ye jafa kya hai jab ki gardan pe khun raha us ki nam mat lo ki khun-baha kya hai meri aur aarzu ko tu puchhe sochta hun ki muddaa kya hai jaane kya kya hua hai rizq-e-khak gul-o-lala ko dekhta kya hai dil ajab chiz hai to tum se aziz rahne bhi do muamla kya hai aage aage hain para-ha-e-jeb mujh ko darkar rahnuma kya hai kam nigahi bhi shart-e-husn hai par dekh tu hum mein ab raha kya hai qatl hote rahe hain hum se puchh le ke shamshir sochta kya hai pi gai khun zamin hazaron ki muft phir shokhi-e-hina kya hai donon aalam ko kyun kiya pamal naqsh-e-pa par ye naqsh-e-pa kya hai ai 'qalaq' kyun qalandari chhodi ye aba kya hai ye qaba kya hai