mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata tod liya ek wo din jab ped ki shakhen bojh hamara sahti thin ek ye din jab sari sadken ruthi ruthi lagti hain ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin ek ye din jab lakhon gham aur kal pada hai aansu ka ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai ek wo ghar jis ghar mein meri budhi nani rahti thin