kya kahen tum se shab-e-gham hum pe kya kya ho gaya dil pighal kar bah gaya pani kaleja ho gaya zikr-e-chashm-e-mast se mera kharaba ho gaya mai-kade tak bhi nahin pahuncha ki ruswa ho gaya mujib-e-khiffat hai aalam mein tajarrud-peshgi main subuk-sar-e-mohabbat ho ke halka ho gaya jalwa-e-ahl-e-safa hai tira-bakhton par wabaal din jahan nikla ki murgh-e-shappar andha ho gaya arsh-e-azam par rahe kyunkar na majnun ka dimagh lailat-ul-mearaj rang-e-zulf-e-laila ho gaya khwab mein bhi hai tasawwur shokh-chashmon ka hamein bistar-e-aram apna mirg-chhaala ho gaya in pari-zadon ke kuche mein tamashe ki hai baat jo tamasha dekhne aaya tamasha ho gaya