rashk-e-firdaus chaman hai apna hyderabad watan hai apna nisbat-e-gor-o-kafan beja hai gor apni na kafan hai apna zist ko marg samajhte hain hum pairahan hai so kafan hai apna jo wo kahta hai wo hum kahte hain dahan-e-yar dahan hai apna kyon na tauf-e-dar-e-mahbub karen kaba ai qibla-e-man hai apna