kya kahiye ki ab us ki sada tak nahin aati unchi hon fasilen to hawa tak nahin aati shayad hi koi aa sake is mod se aage is mod se aage to qaza tak nahin aati wo gul na rahe nikhat-e-gul khak milegi ye soch ke gulshan mein saba tak nahin aati is shor-e-talatum mein koi kis ko pukare kanon mein yahan apni sada tak nahin aati khuddar hun kyun aaun dar-e-ahl-e-karam par kheti kabhi khud chal ke ghata tak nahin aati us dasht mein qadmon ke nishan dhundh rahe ho pedon se jahan chhan ke ziya tak nahin aati ya jate hue mujh se lipat jati thin shakhen ya mere bulane se saba tak nahin aati kya khushk hua raushniyon ka wo samundar ab koi kiran aabla-pa tak nahin aati chhup chhup ke sada jhankti hain khalwat-e-gul mein mahtab ki kirnon ko haya tak nahin aati ye kaun batae adam-abaad hai kaisa tuti hui qabron se sada tak nahin aati behtar hai palat jao siyah-khana-e-gham se is sard gupha mein to hawa tak nahin aati