kya jaaniye manzil hai kahan jate hain kis samt bhatki hui is bhid mein sab soch rahe hain bhigi hui ek sham ki dahliz pe baithe hum dil ke sulagne ka sabab soch rahe hain tute hue patton se darakhton ka talluq hum dur khade kunj-e-tarab soch rahe hain bujhti hui shamon ka dhuan hai sar-e-mahfil kya rang jame aakhir-e-shab soch rahe hain is lahr ke pichhe bhi rawan hain nai lahren pahle nahin socha tha jo ab soch rahe hain hum ubhre bhi dube bhi syahi ke bhanwar mein hum soe nahin shab-hama-shab soch rahe hain