kya kahun kitna fuzun hai tere diwane ka dukh ek taraf jaane ka gham hai ek taraf aane ka dukh hai ajab be-rangi-e-ahwal mujh mein maujzan ne hi jine ki talab hai ne hi mar jaane ka dukh tod dala tha sabhi ko dard ke aazar ne sah na paya tha koi kirdar afsane ka dukh khun ro uthti hain sab aankhen nigar-e-subh ki bantti hai shab kabhi jo aaina-khane ka dukh shama bhi to ho rahi hoti hai har pal raegan kyun faqat hum ko nazar aata hai parwane ka dukh sar patakti thin musalsal mauj-ha-e-tishnagi hont ke sahil pe khema-zan tha paimane ka dukh lotta hai jab bhi sine par shanasai ka sanp lahr uthta hai badan mein ek anjaane ka dukh war deta hun main 'sarim' apni sab aabaadiyan mujh se dekha hi nahin jata hai virane ka dukh