kya kahun kitni aziyyat se nikali gai shab

kya kahun kitni aziyyat se nikali gai shab
han yahi shab ye meri hijr bana li gai shab

pahle zulmat ka parastar banaya gaya main
aur phir meri nigahon se utha li gai shab

raat bhar fath wo karti rahi ujiyaron ko
subh-dam apne andheron se bhi khali gai shab

ta sada mujh mein rahen chand sitare raushan
meri mitti mein tabiat se mila li gai shab

khatm hota hi nahin silsila tanhai ka
jaane kis darja masafat mein hai dhaali gai shab

fasl maqsud thi 'sarim' hamein suraj ki jahan
haif hai un hi zaminon pe uga li gai shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close