kya karunga main bhala kanch ka ye ghar le kar

kya karunga main bhala kanch ka ye ghar le kar
log aa jaenge phir hath mein patthar le kar

zehn mauf badan chur hai dil aazurda
aao so jaen sirhane koi patthar le kar

nam chhapta tha jali harfon mein kal tak jis ka
aaj baitha hai wo footpath pe bistar le kar

jab bhi haalat ke suraj ki tapish tez hui
odh li main ne teri yaad ki chadar le kar

zinat-e-shahr hain 'mumtaz' ye unche aiwan
hum kahan jaen bhala phus ka chhappar le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close