na koi chhat na koi saeban rakhte hain

na koi chhat na koi saeban rakhte hain
hum apne sar pe khula aasman rakhte hain

bacha ke hum ye buzurgon ki shan rakhte hain
nahin hai shama magar shama-dan rakhte hain

gale bhi milte hain hathon ko bhi milate hain
ghazab ki duri bhi hum darmiyan rakhte hain

khudaya tera karam hai ki kuchh na rakhte hue
hum apni mutthi mein sara jahan rakhte hain

sharafaton se talluq nahin hai kuchh un ka
wo niche log jo uncha makan rakhte hain

zamana kis liye hum ko talash karta hai
na koi nam na hum kuchh nishan rakhte hain

bahut sanbhaal ke rakhna qadam tum un par bhi
tumhein khabar nahin patthar bhi jaan rakhte hain

amir-e-shahr ki dawat qubul karte nahin
tere faqir badi aan ban rakhte hain

mizaj kis ne bigada hamare bachchon ka
qalam ke badle ye tir-o-kaman rakhte hain

khuda ka shukr ki tute hue hain par phir bhi
hum apne zehn mein unchi udan rakhte hain

'zafar' unhen bhi kabhi tum padho unhen bhi suno
khamosh lab bhi kai dastan rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close