kya khabar hai na mile phir koi shisha aisa khud ko chhute hue darta hun shikasta aisa sabza-e-lams pe badhta hua lamha lamha sust-rau shoala-e-tufan-e-tamanna aisa ab na dastak mein sada hai na hai zanjir mein shor band ab tak na hua tha dar-e-tauba aisa sans ke sath lapakta hai tah-e-mauj-e-khayal kis ne boya tha mere jism mein shoala aisa sar se tapka jo shajar ke to zamin bhi na mili ab ke ek barg-e-jawan shakh se tuta aisa aks ko naqsh to jazbe ko karun para-e-rang kal ke aaine se jhankega na chehra aisa ab to zanjir-e-talluq hai na wo rishta-e-dard main wo khush-bakht ki paya hai zamana aisa