na sath aa mere main girte faslon mein hun

na sath aa mere main girte faslon mein hun
ghubar-e-dasht hun aur tez aandhiyon mein hun

na jaane qasd kahan ka hai kyun nikale qadam
zamana bit gaya kaisi hijraton mein hun

khud apne sham o sahar mein ulajh gaya aisa
main aasman hun magar apni gardishon mein hun

bahut kushada falak hai badi basit zamin
magar ye sab main samete hue paron mein hun

uthae phirte hain sar mera ek neze par
buland hun main yahan bhi jo dushmanon mein hun

koi bhi hadsa-e-jaan ho us ka manzar mein
utha ke dekh lo akhbar surkhiyon mein hun

koi sada koi halchal nahin hai bahar ki
main apni gunj mein hun apni aahaton mein hun

koi bhi aks nahin jis mein mera chehra ho
main aaina hun magar kitni hairaton mein hun

nasha hai nind ka aankhon mein tutta hai badan
ki jaise main bhi lagatar ratjagon mein hun

ki jaise mujh ko duboya gaya hai pani mein
ki jaise main koi shatir shanawaron mein hun

ki jaise mujh ko chadhaya gaya hai suli par
ki jaise main bhi bade unche sar-phiron mein hun

ki jaise mujh pe hai chhaya shikar ka aaseb
ki jaise main bhi khatarnak jangalon mein hun

ki jaise log mujhe dekhne ko aae hain
ki jaise main lute-haare musafiron mein hun

rahun main khud ko samete hue sambhaale hue
ye 'ramz' meri saza hai ki doston mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close