kya khabar thi inqalab aasman ho jaega qorma qaliya nasib-e-ahmaqan ho jaega zulmat-e-baatil ke daman mein chhupega nur-e-haq dal ki aaghosh mein qima nihan ho jaega cake biscuit khaenge ullu-ke-patthe raat din aur sharifon ke liye aata giran ho jaega control us ke lab-e-shirin pe gar yun hi raha khand ka sharbat nasib-e-dushmanan ho jaega ai bhune titar na dar bawarchiyon ki qaid se pet mera teri khatir aashiyan ho jaega ai sikandar murgh ka hai shorba aab-e-hayat khizr bhi is ko agar pi le jawan ho jaega jab ye kahta hun ki kuchh saman-e-dawat kijiye wo ye kah kar tal dete hain ki han ho jaega