kya khabar thi ki kabhi be-sar-o-saman honge fasl-e-gul aate hi is tarh se viran honge dar-ba-dar phirte rahe khak udate guzri wahshat-e-dil tere kya aur bhi ehsan honge rakh hone lagin jal jal ke tamannaen magar hasraten kahti hain kuchh aur bhi arman honge ye to aaghaz-e-masaib hai na ghabra ai dil hum abhi aur abhi aur pareshan honge meri duniya mein tere husn ki ranai hai tere sine mein mere ishq ke tufan honge kafiri ishq ka shewa hai magar tere liye is nae daur mein hum phir se musalman honge lakh dushwar ho milna magar ai jaan-e-jahan tujh se milne ke isi daur mein imkan honge tu inhi sheron pe jhumegi ba-andaz-e-digar hum teri bazm mein ek roz ghazal-khwan honge