nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen badha rahi hain nigahon ka hausla aankhen jo dil mein aks hai aankhon se bhi wo chhalkega dil aaina hai magar dil ka aaina aankhen wo ek sitara tha jaane kahan gira hoga khala mein dhund rahi hain na jaane kya aankhen gham-e-hayat ne fursat na di thaharne ki pukarti hi rahi hain mujhe sada aankhen ye us ka tarz-e-takhatub bhi khub hai 'mohsin' ruka ruka sa tabassum khafa khafa aankhen