kya khabar thi ki tere sath ye duniya hogi meri jaanib meri taqdir hi tanha hogi aarzu ki ye saza hai ki zamana hai khilaf un se milne ki khuda jaane saza kya hogi marmarin jism ka charcha lab-o-rukhsar ki baat meri koi to ghazal un ka sarapa hogi ashk-e-gham pine mein taklif to hoti hai magar sochta hun ki mohabbat teri ruswa hogi nama-bar bhi hai taraf-dar ab un ka 'anjum' mere haalat ki ab un ko khabar kya hogi