har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the saman bandha rakkha tha par khole hue the kya karte jo do chaar qadam tha lab-e-dariya jab hausle hi rakht-e-safar khole hue the ek us ke bichhadne ka qalaq sab ko hua tha sarsabz darakhton ne bhi sar khole hue the sachchai ki khushbu ki ramaq tak na thi un mein wo log jo bazar-e-hunar khole hue the pahuncha tha haqiqat ko koi ek hi 'anjum' aankhen to kai ahl-e-nazar khole hue the