jo ashk bach gae unhen lata hun kaam mein thodi si dhup roz milata hun sham mein basti mein ek charagh ke jalne se raat bhar kya kya khalal pada hai sitaron ke kaam mein ek shakhs apni zat ki tamir chhod kar masruf aaj-kal hai mere inhidam mein mujh ko bhi is gali mein mohabbat kisi se thi ab nam kya bataun rakha kya hai nam mein 'kashif' husain dasht mein jitne bhi din raha baitha nahin ghubar mere ehtiram mein