kya khabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge hote hote mehrban na-mehrban ho jaenge muskura kar un ka milna aur bichhadna ruth kar bas yahi do lafz ek din dastan ho jaenge ishq sadiq hai to apne azm-e-manzil ki qasam har qadam par sath lakhon karwan ho jaenge ye maal-e-ishq hoga ye kise malum tha dil ke naghme ek din aah-o-fughan ho jaenge gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai shairi phir to duniya bhar ke shair naghma-khwan ho jaenge