kya khabar thi ye mohabbat ka natija hoga raat-din dard-e-judai mein tadapna hoga yar ki did jo taqdir mein hogi hogi yar ka wasl muqaddar mein jo hoga hoga jaan to saikdon ki tu ne nikali hogi magar arman kisi ka na nikala hoga mere rone pe khushamad se ye kahna un ka chup raho chup raho dekho koi ruswa hoga hun wo mai-nosh na chutegi sar-e-mahshar bhi saghar ek hath mein ek hath mein mina hoga waqt-e-rukhsat jo kaha main ne miloge tum kab kis shararat se kaha hashr mein milna hoga tum jise apna samajhte ho use ai 'sabir' kab hua hai wo kisi ka jo tumhaara hoga