tilism-e-lafz-o-maani ko tar tar karen tasawwuraat ki nudrat ko aashkar karen utar laen falak se mah-o-nujum tamam zamin pe azmat-e-adam ko ustuwar karen hain samt samt ayan khair-o-shar ke hangame ki aadmi ko khudai ka raaz-dar karen hain jama dahr mein fitne sabhi qayamat ke ab aur kaun se mahshar ka intizar karen guzar ke jaenge jis pul-siraat se ek din chalo usi khat-e-qatil ko rahguzar karen utha hai jis ki latafat se bandagi ka khamir usi gunah ki ismat pe jaan-nisar karen jalae rakhne 'samad' apni aarzu ke charagh ajab nahin ki wo dagh-e-jigar shumar karen