kya khabar tujh ko o daman ko chhudane wale aur bhi hain mujhe sine se lagane wale napte kaise mere zarf ki gahrai ko dubkiyan khitta-e-sahil mein lagane wale ai hawao na kahin hath jala lo tum bhi bujh gae mere charaghon ko bujhane wale jism mar sakta hai aawaz nahin marti hai yaad rakkhen meri aawaz dabane wale khud ko kaise kisi manzil ke hawale karta muntazir the meri aamad ke zamane wale bap ki qabr pe mitti bhi nahin dalte hain phul netaon ki qabron pe chadhane wale