kya KHata thi meri wo KHafa ho gae

kya khata thi meri wo khafa ho gae
main ne samjha tha kya aur kya ho gae

jo mohabbat pe qurban hote rahe
safha-e-dahr par la-fana ho gae

jis ki fitrat mein hi thi sirisht-e-wafa
haif hai wo bhi ab bewafa ho gae

na-khudai bhi aati nahin thi jinhen
kya zamana hai wo bhi khuda ho gae

kal bhi fitnon se khali na tha ye jahan
aaj bhi kitne fitne bapa ho gae

yun gham-e-zindagi ne nikhaara hamein
hum khazaf se dur-e-be-baha ho gae

paikar-e-naz ki nazuki dekhiye
hum bhi 'anjum' ghazal-ashna ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close