kya khojte hain mujh mein sar-e-sham hi charagh

kya khojte hain mujh mein sar-e-sham hi charagh
kyon dekhte hain bandhe mujhe tiktiki charagh

jaise kisi ko raushni matlub hi nahin
be-fikr ho ke soe pade hain sabhi charagh

qatan jo ek pal bhi jale hi na the kabhi
ilzam dhar rahe hain hawa par wahi charagh

donon bane hain mitti se phir aisa kyon nahin
yani charagh aadmi aur aadmi charagh

maujud hun main phir bhi zarurat nahin meri
goya ki ban gai hai meri zindagi charagh

is khaufnak aandhi ka jab tak pata chala
tab tak hamare hathon se wo le udi charagh

yun dar rahe ho is ko jalane se tum 'ali'
jaise ki ye ho duniya ka ek aakhiri charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close