kuchh is tarah ka ajab imtihan dena pada mujhe zamin ke ewaz aasman dena pada tu jaanta hi nahin din-e-mustafa kya hai husain jaane jise khandan dena pada jo mujh pe apne hi lashkar se tir aane lage adu se hat ke muhafiz pe dhyan dena pada simat raha tha mera saya dhup ke dar se dahakte sae ko phir saeban dena pada wo jaanta hai teri ek nazar ki qimat ko ki dil ke sath jise ek jahan dena pada wo be-nishan tha lekin mere tawassut se phir apne hone ka us ko nishan dena pada bhatak raha tha hatheli pe le ke apna shabab mujhe phir us ko ye dil ka makan dena pada