kya koi ganj-e-giran-maya chhupa hai mujh mein khojne wale tu kya khoj raha hai mujh mein main to khamosh hun haalat ki saffaki par jaane phir kaun hai jo chikh raha hai mujh mein jis se ho pai na ta-haal shanasai meri log kahte hain ki ek zehn-e-rasa hai mujh mein phir masail ke yazid aae hain bai'at lene garm phir marka-e-karb-o-bala hai mujh mein dosto mujh ko khangaloge kahan tak aakhir ma-siwa-karb bhala dusra kya hai mujh mein na koi dard na ehsas na jazba na umang ye bhi 'rahi' koi jine ki ada hai mujh mein