khushk hain ye sabhi samundar chal tishnagi ho gai muqaddar chal rog mat aashnaiyon ke badha chhod aawargi miyan ghar chal zarra-zarra na khud bikhar aisa jama kar apne aap ko ghar chal hain haqaeq ke marhale darpesh apne khwabon ka bandh bistar chal pet ke masale bulate hain kar-khane dukan daftar chal zindagi rasta hai shoalon ka daman-e-afiyat bacha kar chal bhul mat apni haisiyat 'rahi' apni hadd-e-rasa ke andar chal