kya kya ajal ne jaan churai tamam shab koi bhi aarzu na bar aai tamam shab dil-soz kab hue hain ki jab khak ho gaya turbat pe meri shama jalai tamam shab ai wa-e-talkh-kaami-e-roz-e-bad-firaq naseh ne jaan-e-gham-zada khai tamam shab az-bas yaqin-e-wada-e-didar-e-khwab tha kya khush hue ki nind na aai tamam shab ek aah-e-dil-nashin se wo but munfail hua wallah kya nadamat uthai tamam shab lagte hi aankh dekh liya jalwa-e-nihan pesh-e-nazar thi shan-e-khudai tamam shab