kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha lekin meri wafa ka koi bhi sila na tha aawaza-e-raqib se uljhe hain bar bar tujh se shikayaton ka magar hausla na tha us ki nawazishon pe na itrao dosto mujh par karam wo tha ki kisi par hua na tha lete hain bar bar wo aise khuda ka nam duniya mein jaise aur kisi ka khuda na tha raste dayar-e-dil ke bhi kitne ajib the sab rah-rau the koi yahan rahnuma na tha dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru dil tha munafiqat se kabhi aashna na tha shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li aankhen thin us ke pas magar dekhta na tha nadida manzilon ke musafir the kitne log chalna tha jin ka kaam magar aasra na tha kya bujh gae the mere hi ghar ke sabhi charagh ya shahr bhar mein diya bhi jala na tha us gul ka aab-o-rang hi tha ru-kash-e-bahaar jo gul darun-e-shakh tha lekin khila na tha qatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard mein tujh sa magar 'jamil' koi dusra na tha