teri girah mein mal faqat chaar din ka hai jazbon mein ishtial faqat chaar din ka hai baam-e-uruj par bhi kabhi aaunga zarur ham-dam mera zawal faqat chaar din ka hai kis ko khabar sahab kahan ja ke roega mausam ye barshgal faqat chaar din ka hai teri samaaton ke hunar ko mile dawam mera sukhan kamal faqat chaar din ka hai hum ishq-e-la-zawal ke daim mariz hain achchha ye haal-chaal faqat chaar din ka hai gardan kata ke hum yahi kahte rahe 'wali' zakhmon ka indimal faqat chaar din ka hai