kya kya log guzar jate hain rang-birangi caron mein dil ko tham ke rah jate hain dil wale bazaron mein ye be-dard zamana hum se tera dard na chhin saka hum ne dil ki baat kahi hai tiron mein talwaron mein honton par aahen kyun hotin aankhen nis-din kyun rotin koi agar apna bhi hota unche ohde-daron mein sadr-e-mahfil dad jise de dad usi ko milti hai hae kahan hum aan phanse hain zalim duniya-daron mein rahne ko ghar bhi mil jata chaak-e-jigar bhi sil jata 'jalib' tum bhi sher sunate ja ke agar darbaron mein